Saturday, February 16, 2008

" EK ADAD NAUKRI"

Ek adad NAUKRI ki taalash, aur puri kothri bhar Sapne, kuch apne

Wo thandi raaton me sardi ke tamaache

Jaise ahsaas dilate hue meri har nakamyaabi ka

Wo ghar se aate phone kee ghantee

PAPA ka Samjhana Mummy ke na khatam hote sawaal,

Aur phir bin bulaye mahmaan ki tarah sabse chupke aata Ek aansu

Pareshaan hu in besharam salaahon se bhi

Jo abto dete hai log chalte phirte hee

Kismat bhi shayad jaise kisi table ke neeche bathi hai

Dari dubki sakuchayee , ya hai koi

Bewafa premika jo aen waqt pe chod jaati hai saath,

Inhee saare khayaloon ke saath sone ki koshish karta mai

Par ab to Subah se bhi lagta hai dar Sari mehnat lagti beasar

Khud se vishvaas bhi uthta jaraha tha ki achaanak

Jaise paayal ki awaaz ne todi ho chuppi suni sadak ki

Apna naam itna achaa kabhi nahi lagatha shaayad

Paer pe khade ho paana tha mushkil

Dhadkane thee tej aur mujhse bhee jyada khush the mere Dost

Aur aaj phone maine kiya tha ghar pe

Par ye taalaash abhi khatam nahi hui hai

Ye to shruwaat hai Itihaas ki

Ki abhi baaki hai khwaab kai aur

Baaki hai safar Sapno se Hakeekat ka…..

No comments: